Khufya sargoshiaan
Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai Aam logon ki khufya sargoshion main aksar koi halaai nahin hoti. Agar koi (Khufya sargoshioon main) sadqa or kheraat ki targeeb de ya kisi or naik kaam keliye ya logon ke mamlaat main islah karne keliye kisi se kuch kahe to ye albata bhali baat hai, or jo koi Allah ki raza hasil karne keliye aisa kare ga use hum ankareeb bara ajar ata karain ge