Shetan insan ka dushman hai
Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai
logo zamin main jo kuch halal or paak cheezain hain us main se khao (pio) or shetaan ke batae hue raaston per na chalo
darhaqeeqat wo tumhara khula dushman hai wo to tumhain bure or fahsh baton ka hukum deta hai or ye seekhata hai ke
tum Allah ke naam per aise batain kaho jin ke mutaliq tumhain ilim nahin ke wo allah ne farmaai hain