Ehad ki pabandi
Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai
Aye eman walo, (apne) ehadon ko poora kia karo. Tumhare liye chopaae maveshi ki kisim ke tamam janwar halal kiye gaye hain, sivaae un ke jo aage chal kar tum ko bataae jaain ge. Lekin ehraam ki halat main shikaar ko apne liye halal mat samajhna, beshak Allah jo chahta hai hukum deta hai.