Aey naye SaaL
bata tujh mein naya kya rakha hay?
Har taraf khalq ney Q shor macha rakha hay..?
Roshni din ki wohi, taaron bahri raat wohi..?
Aaj bhi ham
ko nazar aati hay har baat wohi..!!
Aasman badla
hay na badli hay ye afsurda zameen,
1 hindsay ka badalna koi jiddat tu nahin,
Guzrey barson
ki tarha hon gay qareeny terey,
Kisey ma'alom nahin mahiney 12 terey.?
Be-sabab
detey hen Q log mubarak ba'aden,
Sab kya bhool gaey waqt ki karwi yaden..?
Tu naya hay
tu dikha subha nayi,sham nayi
Warna in
Aankhon ney dekhay hen naye SaaL kai.