Islamic SMS




Islamic SMS: Quranic Ayats, Hadees & Islamic Quotes etc..
User Image
Sarfraz Qasim
(Posted On: 19 Dec, 2010)
Posted In: Islamic SMS
 




Un logo ki rah jin pr TU ne inam kya, unki nhi jin pr gazab kya gya or na gumrahon ki.

Tafseer:

Ye Sirat e Mustaqeem ki wazahat hy k ye Seedha Rasta hy jis pr wo log chale jin pr TERA inam hua Maslun

Ambia

Shohda

Siddiqeen

Or

Sualeheen

Is ayet me ye b wazahat kr di gai hy k inam yafta logon ka ye rasta Atat e Ilahi Or Atat e Rasool hi ka rasta hy na k koi or rasta Jin pr ALLAH ka gazab hua

se murad Yahudi Or Nassara hein Jo bari gumrahi pr the Yahudi, ayat e ILAHI me Tehreef or Heela krne se gurez nhi krte the Or Hazrat Uzair(AS) ko ALLAH ka beta kehte the Jubke Nassara Hazrat Essa(AS) ko

ALLAH ka beta kehte the.


User Image
Sarfraz Qasim
(Posted On: 19 Dec, 2010)
Posted In: Islamic SMS
 




S 01 : A 05

Hamein Seedhi Or Sachi rah dikha!

Tafseer:

Hidayat k kai mafhoom hein

Raste ki taraf rahnumai krna!

Raste pr chlana!

Manzil maqsood pr puhancha dena!

Yani hmari Sirat e Mustaqeem ki tarf rahnumai farma.

Is pr chalne ki Toufeeq or Isteqamat naseeb farma.

Ta ke hmein TERI raza hasil ho.

Ye Sirat e Mustaqeem mehaz Aql or Zahanat se hasil nhi ho sakti.

Ye Sirat e Mustaqeem wahi hy jise Aap(SAW) ne dunya k samne pesh farmaya or jo ub Quran Pak Or

Ahadees Sahiha me mehfooz hy..!!



User Image
Sarfraz Qasim
(Posted On: 19 Dec, 2010)
Posted In: Islamic SMS
 




S 01 : A 04

Hum sirf TERI hi ibadat krte hein Or TUJHI se madad chahte hein!

Tafseer:

Na ibadat ALLAH k siwa kisi or ki jayz hy or na ista'nat hi kisi or se jayz hy.

In alfaz se shirk ka sade bab kr dya gya.

Han dunyawi kamo me aik dusre ki madad or tawon krna dusri bat hy jo k ALLAH ka bnaya hua aik nizam hy.

Tauheed ki 3 qismein hein.

1. Tauheed Rabubyat:

Is kaynat ka Khaliq, Malik , Raziq or Mudabbr sirf ALLAH hy!

2. Tauheed ul Wahiyat:

Ibadat ki tamam iqsam ka mustahaq sirf ALLAH hy!

3. Tauheed e Sifaat:

ALLAH ki jo sifaat Quran o Hadees me byan ki gai hein, unko bagyr taweel or tehrif k tasleem krein or ye sifaat is andaz me kisi or k ander na manein.


User Image
Sarfraz Qasim
(Posted On: 19 Dec, 2010)
Posted In: Islamic SMS
 




S 01 : A 03

Badle k din ka malik hy!

Tafseer:

Dunya me agrche Makafat e Amal ka silsila aik hadd tak jari rehta hy, ta hum iska mukamal zahoor akhrat me hoga Or ALLAH hr shakhs ko iske Ache or Bure amal k mutabiq mukamal Jaza o Saza de ga!

Isi tarha dunya me a'rzi tor pr or b kai logon k pas Tehat ul Asbab ikhtyarat hote hein.

Lekin akhrat me tamam ikhtyarat ka malik sirf or sirf

ALLAH hi hoga!

ALLAH us roz farmae ga Aj kis ki Badshahi hy?

Phir WAHI jawab farmae ga Sirf Aik Galib ALLAH ki!

Us din koi hasti kisi k leye ikhtyar nhi rakhe gi. Sara muamla sirf o sirf ALLAH k hath me hoga!

Ye ho ga JAZA ka din..!!


User Image
Sarfraz Qasim
(Posted On: 19 Dec, 2010)
Posted In: Islamic SMS
 




S 01 : A 02

Barra meharban nihayat rehm krne wala.

Tafseer:

ALLAH buhat rehm krne wala hy.

iSKI ye sifat deegar sifaat ki tarha daaimi hy.

Rehman me Rahim ki nisbat zyada mubalga hy.

Dunya me ISKI rehmat aam hy jis se bila takhsees Kafr o Momin sub hi faizyab ho rhe hein Or akhrat me wo sirf Rahim hoga.

Yani USKI rehmat sirf Momineen k leye khas ho gi..!!