Islamic SMS




Islamic SMS: Quranic Ayats, Hadees & Islamic Quotes etc..
User Image
usma ali
(Posted On: 07 Jan, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Din main 5 time namaz parhna apni adat bana lo,

sirf yeh soch kar kay kya pata yeh azaan tum akhri baar sun rahay ho,

kya pata tumhra Rab tumhay akhri baar pukaar raha ho.


User Image
usma ali
(Posted On: 07 Jan, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Likhnay baithay thay tareef-e-Muhammad(S.A.W.W),

Alfaaz khatam hogae tareef shuru honay se pehlay..



User Image
adn
(Posted On: 07 Jan, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




bare tabahi hai is shaks ke liye jo (peeth peeche) aaib nikalne wala ho or (moon dar moon) taana dene

wala ho jo (hirs ke mare) maal jama karta rehta ho or ise bar bar ginta rehta ho wo ye samajh raha ha

ke is ka maal hamesha is ke paas rahe ga har giz nahin wo shaks zaroor aise aag main dala jaae ga jis

main jo kuch pare wo is ko tor phor de.


User Image
adn
(Posted On: 06 Jan, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Insan bare khasare main hai

Kasam hai zamane ki insan darhakeqat bare khasare main hai magar wo log nahin jo eeman laae or naik aamal karte

rahe or aik dosre ko haq (per qaaim rehne) ki naseehat or sabar ki talqeen (or taaeed) karte rahe


User Image
adn
(Posted On: 05 Jan, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




nematon ki pooch gach

har giz nahin, agar tum yaqeeni tor per (is ravish ke anjam ko) jaan lete (to tumhara ye tarze amal na hota)

tum yaqeenan dozakh dekh kar raho ge phir (sun lo) tum bilkul yaqeen ke sath ise dekh lo ge phir zaroor is roz tum sab se namaton ki pooch gach hogi


User Image
adn
(Posted On: 04 Jan, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Mall o dolat kabil-e-fakhar nahin hai

tum logon ko ziada se ziada or aik dosre se barh kar dunya hasil karne ki dhun ne (aakhrat se) ghaflat main daal rakha hai.

yahan tak ke ise fikar main tum kabrustanon tak pohanch jaate ho (halake ye maal or dolat kabil-e-fakhar ) hargiz nahin tum

ko bohot jald maloom ho jaae ga phir (sum lo ke ye cheezain kabil-e-fakhar ) har giz nahin tum ko bohot jald maloom ho jaae ga.



User Image
adn
(Posted On: 03 Jan, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Insan bara nashukra hai

haqeeqat ye ha ke insan apne rab ka bara nashukra hai or is ko khud bhe is ki khabar hai or wo maal or dolat ki mohabad main bohot bure tarhaan mubtila hai to kia is ko wo waqt maloom nahin jab kabron main jo kuch madfoon hai isee nikaal lia jee ga or seenon main jo kuch makhfi hai ise zahir kar dia jaae ga be shak in ka rab is roz in ke haal se poori tarhaan aagha hoga


User Image
Sarfraz Qasim
(Posted On: 23 Dec, 2010)
Posted In: Islamic SMS
 




Jo log eman late hein us pr jo Aap pr utara gya Or Jo Aap se pehle utara gya!

Tafseer:

Ub tak ki Insani tehqiqat k mutabiq ALLAH ne kul 104 Kitabein nazil farmai hein Jin me se 100 Sahife(risale)

Or 4 Kitabein hein! Jo kul 8 Ambia o Rasoolon pr nazil huein!

Aik Momin pr ye lazim hy k wo in sub pr eman laey Jubke Quran se pichli kitabon pr eman lane ka matlub ye hy k dil se tasleem krna k ye sub Sachi hein

Chunke wo Makhsoos Waqt or Makhsoos Groh k lye thein nez ub wo dunya me apni asl shakl me b nhi pai jatein is lye unko parhne me gumrahi ka bara ndesha hy Ub Parhna or Amal krna sirf Quran Pak or Sahi Ahadees pr hi kya jae ga Is se ye b maloom hua K Wahi or Risalat ka silsila Aap(SAW) pr khatm kr dya gya hy Warna is pr b eman lane ka zkr ALLAH zarur farmata..!!


User Image
Sarfraz Qasim
(Posted On: 23 Dec, 2010)
Posted In: Islamic SMS
 




Is Kitab me koi shak nhi, perhezgaron ko rah dikhane wali!

Tafseer:

Quran ki hr bat kisi b Shak o Shube k bagyr durast hy Insan ki likhi hui kisi kitab ko 100% shak se bala tar hi samjha ja sakta Lekin Chunke ye Kitab ALLAH ki hy, JISKA ilm la mehdood hy or 100% yaqini b Is lye isme kisi shak ki gunjysh nhi Quran me jo waqyat byan kye gae hein unki sadaqat me, Jo Ahkam o Masail byan kye gae hein unse Insanyat ki Flah o Nijat wabista one me Or Jo Aqayid byan kye gae hein unke Barhaq hone me koi shak nhi Wase to Quran tamam Insano ki hidayat k lye nazil hua hy Lekin Is Chashma e Fyz se

serab sirf wahi log hon ge, Jo Aab e Hayat k mutlashi

or Khof e ILAHI se sarshar hon ge Or Jin ke dil me marne k bad ALLAH ki bargah me khare ho kr jawab dahi ka ehsas hoga..!!


User Image
Sarfraz Qasim
(Posted On: 19 Dec, 2010)
Posted In: Islamic SMS
 




Surah Baqra:

Ye Quran Pak ki subse barri surah hy Isme aage chal kr Gaey ka waqya byan kya gya hy Isi lye is ko Baqra kaha jata hy Tarteeb k lihaz se ye dusri or Nazool k hisab se Madina dour ki ibtadai suraton me se hy albatta baz ayat Hajjat ul Wida k moqe pr nazil huein

Isme

286 ayat

Or

40 ruku hein

Baz Ulema k nazdeek isme 1 hzar khabr 1 hzar ahkam

or 1 hzar munhyat hein

Surah ka aghaz Islam k bunyadi aqaid yani Touheed

Risalat or Akhrat k byan se hua isi zimn me Insanon ki

3 qismein yani Momin Kaffar or Munafiq byan ki gae hein Iski aik khas fazeelat hy K jis ghar me ye parhi jae us ghar se Shytan bhag jata hy.