Islamic SMS




Islamic SMS: Quranic Ayats, Hadees & Islamic Quotes etc..
User Image
adn
(Posted On: 25 Mar, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Sadqat or dekhawa

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

Aye eman walo apne sadqat ko ehsan jata kar or dukh pohncha kar barbad na karo jis tarhan

wo shakas jo apna maal mehaz logon ko dekhane ki khatir khrach karta hai or wo na Allah per

eman rakhta hai na aakhrat per is ke maal ki misal us chataan ki manind hai jis per miti ki

teh jami hui hai. is per jab zor ki barish barsi to sari miti beh gai or saaf chataan

ki chataan reh gai aise logo apne nazdeek kheraat kar ke jo neki kamate hain is se kuch bhi

in ke hath nahin aata or Allah nashukron ko hidayat hi nahin dia karta


User Image
adn
(Posted On: 24 Mar, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Ghani or burdbar

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

jo log apne maal Allah ki rah main kharach karte hain or kharach karne ke bad na to ehsan jatate hain or na dukh pohnchate hain

un ke liye un ke rab ke pas is ka ajar hai or (qayamat ke roz) un per na koi khof ho ga or na wo ghamgeen honge. munasib baat

keh dena or kisi nagawar baat per zara si chasham poshi (or darguzar) karna is kheraat se behtar hai jis ke bad dukh pohchaya jee

Allah bara ghani hai or burdbare is ki sifat hai



User Image
adn
(Posted On: 23 Mar, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Zindagi or mot

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

Kia tum ne us shaks (yani Namrood) ke haal per gor kia jis ne (Hazrat Ibraheem alahe salam) se un ke rab

ke bare main jhagra kia tha wo garoor main tha ke Allah ne ise Hukumat de rakhi thi. jab (hazrat) Ibraheem

alahe salam ne kaha ke mera rab to wo hai jis ke ikhtiyaar main zindagi or mot hai to us ne jawab dia

zindagi or mot to main bhi deta hon (is per Hazrat) Ibraheem alahe salam ne kaha ke accha Allah sooraj ko

(rozana) mashrik se nikaalta hai tu zara (aik hi roz) ise maghrib se nikaal kar dekha ye sun kar wo

munkir haq shshdar reh gaya Allah aise zalimon ko hidayat nahin dia karta


User Image
adn
(Posted On: 22 Mar, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




eman ki roshni

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

Jo log eman laate hain Allah un ka hami-o-madadgar hai or wo un ko (kufar ki) tareekion se nikaal kar (eman ki) roshni

ki taraf laata hai. or jo log kufar ki rah ikhtiyaar karte hain un ki sathi gumrah karne wali qoowatain hain jo unhain (eman ki)

roshinion se (kufar ki) tareekion ki taraf khech kar le jaati hain ye aag main jane wale log hain jahan ye hamesha rahain ge


User Image
adn
(Posted On: 21 Mar, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Mazboot sahara

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

Deen ke mamle main koi zabardasti nahn hai hidayat to bilkul saaf or zahir hai or gumrahi

se alag chant kar rakh di gai hai. ab jo koi gumrah karne wali shetani qoowaton ka inkaar

kar ke Allah per eman le aaya us ne aik aisa mazboot sahara tham lia jo kabhi tootne wala nahin

or Allah (jis ka sahara us ne lia) sab kuch sune wala or jane wala hai


User Image
adn
(Posted On: 20 Mar, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Allah ki hukumat

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

Allah hi mabood barhak hai is ke siva koi ebadat ke kabil nahin hai. wohi zinda qaaim rehne wala hai

ise na to oongh aati hai or na neend zamin or aasmanon main jo kuch hai ise ka hai kon hai aisa ke

is ki eejazat ke bager is ke saamne (kisi ki) sifarish kar sake jo kuch bandon ke samne hai or jo kuch

in se ojhal hai wo sab janta hai or is ki maloomat main se koi cheez in ki girift main nahin aa sakti

jab tak ke kisi cheez ka ilm wo khud hi in ko na dena chahe. is ki hukumat aasmanon or zamin per chai

hui hai or in ki negehbani Allah keliye koi dushwar kaam nahin hai bas wohi aik buzurg or bartar (aali shan)

zaat hai.



User Image
adn
(Posted On: 19 Mar, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Zalim log

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

Aye eman walo jo kuch (Mal-o-mata) hum ne tumhain de rakha hai is main se kharach karo kabal is

ke ke wo din aa jaae jis main na aamal ka soda hoga na dosti kaam aae gi or na sifarish chale gi

or zalim asal main wohi hain jo kufar ki ravish ikhtiyaar karte hain


User Image
adn
(Posted On: 18 Mar, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Allah bara wosat wala hai

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

Jo log apne maal Allah ki rah main kharch karte rehte hain un ke kharch ki misal aise hai jese aik dana boya jaae

or is se sath balain ugain or har baal ke andar so so dane hon ise tarhan Allah jis ke amal ko chahta hai ziada kar deta

hai or Allah bara wosat wala bara ilim wala hai


User Image
adn
(Posted On: 17 Mar, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




karze hasna

Allah ka neem se jo bara meharban nehayat reham wala hai

Musalmanon Allah ki rah main jihad karo or is baat ka yaqeen kar rakho ke Allah bara sune wala or khob jane wala hai

tum main kon hai jo Allah ko karze hasna de ta ke Allah ise kai gunah charha kar wapas kare, ghatana bhi Allah ke ikhtiyaar main

hai or barhana bhi or usee ki taraf tumhain palat kar jana hai


User Image
adn
(Posted On: 16 Mar, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Namaz ki pabandi rakho

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

(aye musalmanon) apni sari namazon ki pabandi rakho khususan darmiyani namaz ki, Allah ke aage (aajizon ki tarhan) bare adab

se khare raha karo badamni ki halath (main agar tum ko khof) ho to khua pedal ho ya sawar (jis tarhan mumkin ho namaz parho)

or jab aman mayasar aa jaae to Allah ko yaad karo jis tarhan Allah ne tum ko seekha dia hai jo tum pehle nahin jante the





«12. . .2223242526. . .3233»