Al_Quran Surah Al-Maida 5 Ayaat 91, 92



adn
(Posted On: 07 Jul, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Ataat

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

(Aye eman walo) shetaan to bas yehi chahta hai ke sharab or jue ke zarye tumhare darmiyaan dushmani or (dilon main) bugaz daal de or (is tarhan) tumhain Allah ki yaad se or namaz se rok de. Phir kia tum un cheezon se baaz raho ge?() tum Allah or us ke rasool (P.B.U.H) ki attat karte raho or baaz aa jaao, lekin agar tum ne hukum adooli ki to jaan lo ke hamare rasool (P.B.U.H) ke zimee to bas saaf saaf hukum pohncha dena hai ()