saat aasman
Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai
wo (Allah) hi to hai jis ne tumhare liye zamin ki sare cheezain peda kin phir
is (Allah) ne aasman ki taraf tawaja ki to saat aasman durust kar ke bana diye
or wo har cheez ka elm rakhne wala hai (wo waqt yaad karo) jab tumhare rab ne
farishton se kaha ke main zamin per apna naaib banana chahta hon unhon ne arz kia
kia aap zamin main kisi aise ko (naaib) mukarar karne wale hain jo zamin main fasad
kare ga or khoon kharaba kare ga aap ki hamd o sana ke sath aap ki paaki to hum (farishte)
bayaan kar hi rahe hain (Allah taala ne) farmaya yaqeenan main wo jaanta hon jo tum nahin jaante