apne aap ko katal na karo
Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai
Aye eman walo! aapas main aik dosre ke maal na haq tor per mat khao, albata aapas ki razamandi
se tijaarat main lain den ho to koi muzaaeka nahin. Or apne aap ko katal na karo. Yaqeen mano
ke Allah tumhare haq main bara meharban hai() jo shakas zulm or ziadti ke sath aisa kare ga
to hum ankareb us ko aag main zaroor dalain ge or ye Allah ke liye koi mushkil kaam nahin hai()