Munafkeen ko dost na banao
Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai
Ye (Munafkeen) to dil se chahte hain ke tum bhi kufar karo jese ye log kufar kar rahe hain
taake tum or wo sab barabar ho jaain. Lehaza tum un main se kisi ko apna dost na banaao jab
tak ke wo Allah ki rah main hijrat kar ke na aa jaain, or agar wo hijrat se baaz rahain to
unhain jahan kahin paao qatal karo or un main se kisi ko apna dost or madadgar na banaao.