eman walon ke dushman
Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai
Aye eman walon, apne siva kisi ger mazhab wale ko apna raazdar na banao, wo tumhare kharabi ke kisi moke se faida
uthane main nahin chookte. tumhain jis cheez se nuqsaan pohnche wohi in ko mehboob hai. un ke dil ka bugz un ke moon
se zahir hua jaata hai or wo jo kuch apne seenon main chupaae hue hain wo is se bhi barh kar hai. hum ne tumhain saaf saaf
hidayat de di hain agar tum akal se kaam lene wale ho