dozakh ka azab or ruswaai
Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai
Be shak zamin or aasmanon ke banane main or raat or din ke bare bare se aane main akalmand logon keliye bare
neshaniyaan hain () jin ki halat ye hai ke wo uthte bethte or letee, har haal main Allah ko yaad karte rehte hain or aasman
or zamin ki saakht per gor fikar karte hain (phir wo be ikhtiyaar pukaar uthte hain) aye hamaer perwardigaar! tu ne
ye sab kuch fazool or be maksad nahin banay, to paak hai, hamain dozakh ke azab se bachale () aye hamare rab! tu ne jise
dozakh main dakhil kar dia ise darhaqeeqat bare zillat or ruswaai main daal dia, or ise zalimon ka koi bhi madadgar nahin hota ()